Here is another romantic song from 'Shri Krishna'- "Kampit Charan", , where the feelings of Shri Radhe Rani is expressed through the song! Very very True And Pure! The classical base of the song makes it really unique!
Kampit Charan, Lajjit Nayan
Bhiru Hriday, Jag Ka Bhay
Milan Ka Moh, Viraha Ki Peer
Mukh Gambhir, Pran Adhir
Yamuna Teere, Malaya Samire
Dhire Dhire, Charan Badhaati
Chali Piya Ki Abhisaarika!
Dekho nayi naveli Radhika!
Prem Dagar Se, Nav Parichay Hai
Jaane Kya Ho, Har Pal Bhay Hai
Ek Halchal Hai, Ek Sanshay Hai
Udhar Pratiksha, Idhar Pralay Hai
Shwaason Mein, Jhanjhaawat
Piya Ki Preet, Hiya Na Samaat
Kuch Sakuchaati, Man muskaati
Prem ki baati, sab se chupaati
Chali Piya Ki Abhisaarika!
Dekh nayi naveli Radhika!
Kabhi aagraha, kabhi anunaya karke
Nainon mein rang prem ka bharke
Kunjon Mein Radhe Ko Mohan
Le Chala Barbas, Bahiyan Dharke
Pratham Sparsh Ka Madhu Avaas
Praanon Mein Bhare Nav Ulaas
Besudh hokar, ek madhmaati
Kabhi Balkhaati, Kabhi Itlaati
Chali Piya Ki Abhisaarika!
Dekho, nayi naveli Radhika!
Lyrics taken from 'india-forums'. Do visit the page if you need the English translation of the song -
http://www.india-forums.com/forum_posts.asp?TID=1066759&TPN=79
Jai Shri Radhe Rani!
Jai Shri Krishna!
Comments
Post a Comment