Skip to main content

'Ranchhodh'- Origin of the name of the Lord: Some scenes from 'Mahabharat' and 'Shri Krishna' TV Serials






Here I am posting a dialogue from my favourite Mahabharat where Krishna discusses about the reason and the implications of the name 'Rannchhod'.




After completing Gurukul, Krishna and Balaram join Mathura in their war against Jarasandh. The following scene comes just after Krishna and Balaram triumph over Jarasandh.

Mathura Raajsabhaa

('Krishna-Balaram ki Jay'- can be heard from the background)

Ugrasen- Yadi Krishna aur Balaram thik samay par na aa gaye hote, to Mathura ka paraajay aaj nishchit tha. To Mathura par in dono ka ek aur rinn chadh gaya.

Krishna – Kshama chaahta hoon Maharaaj, parantu maatrubhoomi kabhi rini nahi hoti. Aur yadi koi yeh soche ki usne ya uske parivaar ne maatrubhoomi par koi upkaar kiya hai, to yeh uski bhool hai. Maine jo kiya, wo mera kartavya tha. Aur aaj ke pashchaat mai jo kuchh karunga, wo keval kartavyapaalan hi ke liye karunga. Vijay ki is kshan me mai yeh kehna chaahta hoon ki Magadh Naresh Jarasandh phir aakramann karenge.

Balaram- To is me chintit hone ki kya aavashyakta hai? Yaduvanshiyon ko yun Magadh Naresh se ghabarana shobha nahi deta.

Akrur- Mai Balaram se sehmat hoon, Maharaaj.

Ugrasen- Phir bhi hume Krishna ki baat to sunni hi chaahiye. Hum yeh kaise bhul sakte hain ki yeh Devaki ka aathvaan putra hai, jo Mathura ko hi nahi, balki poori Vraj-bhoomi ko, Kans se mukti dilaane ke liye aaya hai.

Akrur- Parantu Mathura to Kans se mukt ho gayi hai Maharaaj.

Vasudev- To yeh Jarasandh kya hai? Aur yeh baar baar Mathura par aakramann kyun kar raha hai? Abhi yeh yuddh samapt nahi hua hai Maharaaj.

Krishna – Mai Pitaashree se sehmat hoon Maharaaj.

Balaram – Yadi yeh yuddh samapt nahi hua hai Pitaashree, to Jarasandh ko aane dijiye. Is baar yeh yuddh samapt hi kar dete hain.

Krishna- (smiling) Veer Purush ko yuddh ke liye itna utaavalaa nahi hona chaahiye Dau. Balveer ki to pehchaan hi yeh hai ki wo aavashyak aur anaavashyak yuddh ka antar samajh sakta hai. Anaavashyak yuddh to keval abhimaani karte hain.

Vasudev – To kya hum Magadh Naresh ke paas yeh praarthana leke jaayen Putra ki yuddh me hamaare haathon paraajay to avashya hui, parantu hum par daya karo, hum ladnaa nahi chahte?

Krishna Yadi yeh kehne se yuddh tal jaye, to yeh kehne me bhi kshati nahi hai Pitaashree.

Darbari – Yeh tum kya keh rahe ho Vaasudev Krishna? Kya hum Yaduvanshi us Jarasandh ke aagey ghutne tek den?

Krishna Nahi, ghutne to keval kaayar tekate hain, to yeh mai kaise keh sakta hoon? Apni rakshaa ke liye, raashtra ki rakshaa ke liye ladanaa to hamaarakartavya hai.

Balaram – To phir tum keh kya rahe ho? Kabhi to do bol seedhe bol liya karo…

Krishna – Mera prastaav yeh hai ki hum Yaduvanshiyo ko Mathura chhod deni chahiye.

Public – Hum Mathura nahi chhodenge … Hum Mathura nahi chhodenge…

KrishnaKrodh ki kataar krodhi ki buddhi ko kaat deti hai. To koi aise shastra ka upyog hi kyun kare?

Balaram – Baaten na banaao Krishna … Tum yehi keh rahe ho na ki Jarasandh se darr ke hum ghar bhi chhod den aur rann bhi?

Akrur – Parantu itihaas to isse kaayarta kahega.

Balaram – Yeh kehkar Nandgaon ke maakhan ka apmaan to na karo Krishna.

Krishna – Yeh kehkar mai Nandgaon ke maakhan ka apmaan nahi kar raha hoon, Dau. Uski rakshaa kar raha hoon. Magadh Naresh ki ladaai to mere saath hai na? Ki maine Mama Kans ka vadh kiya hai? Unki do putriyan to mere kaaran vidhawa hui hain. To Magadh Naresh ke krodh ki agni me Mathura kyun jale?

Balaram – Haan, to tum akele hi unke liye bahut ho.

Krishna – Prashna yeh nahi hai, Dau… Parantu yuddh tabhi hona chahiye jab doosre saare maarg bandh ho chuke hon.

Vasudev- Parantu Jarasandh ne kaunsa maarg khula chhoda hai Putra?

Krishna – Ek maarg hai Pitashree. Mathura ko yuddh ki agni se bachaane ka ek maarg ab bhi khula hai.

Ugrasen – Kusnsa maarg khula hai Vats?

Krishna – Mathura se kahin aur chale jaane ka maarg, Maharaaj.

(Genaral public are astonished by this suggestion… They all stand up…)

Krishna – Mathura me hamara yug samaapt ho gaya hai. Naye yug ke swaagat ke liye hume ek Dwarika banaani chaahiye.

Balaram – Yeh kyun nahi kehte ki rann chhodne ka prastaav rakh rahe ho?

Vasudev – Yadi tumne aisa kiya to log tumhe 'Rannchhod Shri' kehne lagenge Putra.

Krishna Jis Mathura, jis Vraj-bhoomi ko swayam maine Kans ke atyachaaron se mukti dilaayi hai, usse Magadh Naresh Jarasandh ki badle ki bhaavna se bachaane ke liye mujhe yeh bhi swikaar hai ki log mujhe 'Rannchhod' kahe. Naamo me kya rakhha hai? Naam to pukaarne ka ek saadhan hai. Aur bus log mujhe chaahe jis naam se pukaaren, parantu jab mujhe aisa lagega ki pukaarnewala mujhe pukaar raha hai, tab mai avashya bolunga. Aur rahunga mai wohi, jo hoon.

Balaram – Main to phir bhi kahunga ki Sudarshan Chakra nikaalo aur…

Krishna Har gardan Sudarshan Chakra ke yogya nahi hai, Dau!Yaduvanshiyonko apne abhimaan se pyaar hai to hum yehi rahenge. Aur yadi unhe apni Vraj-bhoomi se pyaar hai, to hume swadesh tyaag karna hi padega.Kehna mera kartavya tha, maine kar diya. Ab nirnay lena Maharaaj ka kartyya hai.

Ugrasen – Mai Vaasudev Krishna se sehmat hoon.



(After this discussion, Krishna calls Dev-Shilpi Vishwakarma, tells him about Dwarika and Vishwakarma shows the plan of Dwarika.)


All the introductory dialogues by all the other characters were necessaryLOL to reach the nice onesStar ….The way Krishna says- 'Naamo me kya rakhha hai? Naam to pukaarne ka ek saadhan hai. Aur bus log mujhe chaahe jis naam se pukaaren, parantu jab mujhe aisa lagega ki pukaarnewala mujhe pukaar raha hai, tab mai avashya bolunga. Aur rahunga mai wohi, jo hoon'- is just Awesome! Clap







And here is the same topic covered in Ramanand Sagar's Shri Krishna, in the song , where Kaalyavan follows Shri Krishna for a battle. The signifcance of the song is there in this video itself. Love to watch this scene and love the Lyrics of this song! The way Swapnil has enacted in this sc is really Great!

Link of the Song: 'Nath Bhagaawat, Khel Khilaavat':


Comments

Popular posts from this blog

Krishna Janm dohas from B R Chopra's 'Mahabharat'

Dear Friends, Continuing with the Janmashtami mood :), today I am posting the dohas which come around the birth of Shri Krishna, in B R Chopra's 'Mahabharat'.  The dohas are taken from Shivang's posts in India Forums website :) ( http://www.india-forums.com/forum_posts.asp?TID=1251811&TPN=61 ) (In this page you can find all the dohas of Mahabharat) Watch the sequence here - https://www.youtube.com/watch?v=fjSONbbaJJ4 Krishna paksha ki ashtami, ardh raatri Budhvaar;   Karagruh me Kans ke, bhayo Krishna avtaar, bhayo Krishna avtaar. Sinh raashi ke Soorya hain, udit uchcha ke Chandra;   Devan dinhi dundubhi, taar madhya, swar mand, taar madhya swar mand. Megh nichhavar ho rahe, barse sau sau dhaar;   Damak damak daamini kahe, dekho mukh ek baar, dekho mukh ek baar. Chhatra banyo brijraaj hit, phan failaye naag;   Mathura tere tyaag se, jaage Brij ke bhaag, jaage Brij ke bhaag. Jaane Jamuna jag nahi, Shri Hari ko avtaar;   Paawan pad

'Shri Krishna Stuti': 2 Songs from Ramanand Saagar's 'Shri Krishna'

Dear Friends, today I am posting two of my most favourite songs from the TV Serial 'Shri Krishna'. Both the songs have these words- 'Shri Krishna Govinda Hare Muraare' ... and the Music is also the same.... The first one is from the scene when Shri Krishna comes to the womb of Devaki, all the god along with Brahmaji and Naaradji come to sing the glory of the Lord! That moment conveys the joy of the coming of the Lord on this earth! I always feel the happiness inside while listening to it. This is the video of the sequence (Uploaded by Dear Sister Lola) : http://www.youtube.com/watch?v=83UELX4Fnn4 The lyrics along with its English Translation was originally posted by Lola in 'India Forums': Narayanaya Namo Namah, Parmeshwaraya Namo Namah - we bow to you, God Y'asmin Sthitah Jagat Sarvam, Sa Janani Garbhe Sthitah- you, within whom the whole universe resides, now reside in this mother's womb Nirakaarah Ajanmayo, So Vayi Sa Karmagatah - formless, unborn, s

Bliss Generated by Shri Krishna: Some songs from Ramanand Sagar's 'Shri Krishna'

Just thought to post some songs from Ramanand Sagar's Shri Krishna serial, where we can FEEL the Bliss genrated by the Lord to all the persons around Him. Each of these songs are Sooo Special to me due to emotions (Joy) they produce! "Baal Roop dekhke jo Kanhaai" , posted by Lola (IF) Video:- http://www.youtube.com/watch?v=AvNLdKxH6BY&feature=related Baal roop dekhen jo Kanhaai, seeing the child form of Lord Krishna, Munivar ne sudh budh bisaraai; the sage lost track of his surroundings Harash apaar hriday na samaaye, his heart couldn't contain the immesne rush of joy N ayanan me aansoo bhar aaye. it filled his eyes with tears Antar gati jo bhayee lakhi swaami , his state of mind upon seeing his master So jaanat bas antaryaami; could only be known by the Master Himself Kaise abhinandan karen? "how shall I greet you, Lord?" Muni kachhu samajh na paaye; the sage was lost in this confusion Dekhi dasaa nij bhakt ki , seeing his devotee's