'Ranchhodh'- Origin of the name of the Lord: Some scenes from 'Mahabharat' and 'Shri Krishna' TV Serials
Here I am posting a dialogue from my favourite Mahabharat where Krishna discusses about the reason and the implications of the name 'Rannchhod'. After completing Gurukul, Krishna and Balaram join Mathura in their war against Jarasandh. The following scene comes just after Krishna and Balaram triumph over Jarasandh. Mathura Raajsabhaa ( 'Krishna-Balaram ki Jay' - can be heard from the background) Ugrasen - Yadi Krishna aur Balaram thik samay par na aa gaye hote, to Mathura ka paraajay aaj nishchit tha. To Mathura par in dono ka ek aur rinn chadh gaya. Krishna – Kshama chaahta hoon Maharaaj, parantu maatrubhoomi kabhi rini nahi hoti. Aur yadi koi yeh soche ki usne ya uske parivaar ne maatrubhoomi par koi upkaar kiya hai, to yeh uski bhool hai. Maine jo kiya, wo mera kartavya tha. Aur aaj ke pashchaat mai jo kuchh karunga, wo keval kartavyapaalan hi ke liye karunga . Vijay ki is kshan me mai yeh kehna chaahta hoon ki Magadh Naresh Jarasandh phir aakramann karenge. Bala...